PAKISTAN SIASAT

مجھے چند سال قبل وزیراعظم ہاؤس کے ایک ڈرائیور سے ملاقات کا موقع ملا‘ یہ کسی کام کے سلسلے میں میرے پاس آیا تھا‘

میں نے اسے پاس بٹھا لیا اور اس کے موجودہ اور سابق صاحبوں کے بارے میں پوچھنا شروع کر دیا‘ وہ آہستہ آہستہ بتاتا چلا گیا اور میں ح...یران ہوتا گیا‘

میں نے اس سے محترمہ بے نظیر بھٹو اور میاں نواز شریف کے بارے میں خصوصی طور سے پوچھا‘

اس کا کہنا تھا محترمہ بے نظیر بھٹو بہت ڈھاڈی(سخت) خاتون تھیں‘ لوگ ان سے بہت ڈرتے تھے‘ وہ درجنوں لوگوں کی موجودگی میں اپنے اسٹاف کو جھڑک دیتی تھیں‘ انھوں نے ایک بار اپنے پرنسپل سیکریٹری کو ایک قمیض دی اور میچنگ دوپٹے خریدنے کا حکم دے دیا‘ وہ بے چارہ اس معاملے میں کورا تھا‘ وہ دو تین دوپٹے خرید لایا مگر محترمہ کو پسند نہ آئے چنانچہ انھوں نے گاڑی میں میرے سامنے انھیں جھاڑ پلا دی‘ وہ ائیر پورٹ جاتے ہوئے راستے میں گاڑی رکوا کر ناپسندیدہ افسروں کو نیچے بھی اتار دیتی تھیں

جب کہ میاں نواز شریف ان کے برعکس ایک نرم طبع انسان تھے ‘غصہ پی جاتے تھے‘ میں نے میاں نواز شریف سے متعلق کوئی دلچسپ واقعہ سننے کی درخواست کی

اس نے ہنس کر بتایا‘ یہ 1992ء کا واقعہ ہے‘ سعید مہدی صاحب اس وقت راولپنڈی ڈویژن کے کمشنر تھے اور میاں نواز شریف وزیر اعظم اور محترمہ بے نظیر بھٹو اپوزیشن لیڈر تھیں‘ بی بی ان دنوں میاں نواز شریف کے خلاف راولپنڈی اور اسلام آباد میں جلوس نکالتی تھیں‘ یہ لانگ مارچ بھی کر دیتی تھیں‘میاں صاحب ان جلوسوں سے بہت تنگ تھے‘ محترمہ نے ایک دن راولپنڈی میں جلوس نکالنے کا اعلان کر دیا‘

میاں نواز شریف نے سعید مہدی کو حکم دیا ’’ آپ بی بی کو روکیں گے‘‘ سعید مہدی نے پوری کوشش کی مگر بی بی انتظامیہ کو چکمہ دے کر راولپنڈی پہنچ گئیں‘ انٹرنیشنل میڈیا بھی وہاں آ گیا اور اس نے بی بی کو بے تحاشا کوریج دی‘ میاں صاحب سعید مہدی صاحب سے ناراض ہو گئے‘ مہدی صاحب انھیں مل کر اپنی پوزیشن واضح کرنا چاہتے تھے

مگر میاں صاحب ان سے ملاقات کے لیے راضی نہیں ہو رہے تھے‘ میاں صاحب کے سیکریٹری مہدی صاحب کے بارے میں سافٹ کارنر رکھتے تھے‘ یہ روز سعید مہدی کا نام وزیراعظم کے ملاقاتیوں کی فہرست میں ڈال دیتے تھے لیکن میاں صاحب ان کا نام کاٹ دیتے تھے‘ سیکریٹری صاحب نے آخر میں میری مدد لی‘ انھوں نے مجھ سے کہا ‘میاں صاحب آج وزیراعظم ہاؤس سے ائیر پورٹ جائیں گے‘ تم نے مہدی صاحب کو گاڑی میں بٹھا لینا ہے

سیکریٹری صاحب کو یقین تھا میاں نواز شریف مہدی صاحب کو کم از کم گاڑی سے نہیں اتاریں گے‘ پروگرام کے مطابق میاں صاحب گاڑی میں بیٹھے اور دوسرا دروازہ کھول کر سعید مہدی بھی اندر بیٹھ گئے‘ اگلی سیٹ پر سیکریٹری صاحب بیٹھ گئے‘ ہم پرائم منسٹر ہاؤس سے باہر نکل آئے‘ پروٹوکول کے مطابق وزیراعظم اور صدر 24 منٹ میں ائیر پورٹ پہنچتے ہیں اور انھیں وقت پر پہنچانا میری ذمے داری ہوتی ہے‘ سعید مہدی صاحب نے گفتگو شروع کر دی‘ میاں نواز شریف نے دوسری طرف منہ پھیر لیا مگر مہدی صاحب بولتے رہے‘ میاں نواز شریف کی عادت ہے یہ جب غصے میں آتے ہیں تو ان کے کان سرخ ہو جاتے ہیں‘

میں بیک مرر میں دیکھ رہا تھا‘ میاں صاحب کے دونوں کان سرخ تھے‘ میں ڈر گیا‘ سیکریٹری صاحب کا رنگ بھی فق تھا مگر سعید مہدی مسلسل بول رہے تھے‘ اس دوران میاں نواز شریف کی برداشت جواب دے گئی‘ وہ مہدی صاحب کی طرف مڑے اور انھوں نے غصے سے کہا ’’ مہدی صاحب آپ کو میرے احسانات یاد نہیں آئے‘ میں نے آپ کو کہاں سے اٹھایا اور کہاں پہنچا دیا‘‘ میاں صاحب اس کے بعد اپنے وہ تمام احسانات دہرانے لگے جو انھوں نے مہدی صاحب پر کیے تھے‘ مہدی صاحب چپ چاپ سنتے رہے

وزیراعظم جب تھک گئے تو مہدی صاحب نے ان کی طرف دیکھا اور میاں صاحب سے مخاطب ہوئے ’’ میاں صاحب یاد رکھیں مجھ پر یہ تمام مہربانیاں میرے اللہ نے کی ہیں‘ آپ صرف وسیلہ تھے‘ میں وسیلا بننے پر آپ کا صرف شکریہ ادا کر سکتا ہوں مگر میرا شکر صرف میرے اللہ کی امانت ہے‘‘ یہ سن کر میاں نواز شریف نے چند لمحوں کے لیے منہ پھیر لیا ‘ وہ کھڑکی سے باہر دیکھنے لگے‘

پھر انھوں نے اچانک میرے کندھے پر ہاتھ رکھا اور حکم دیا’’ گاڑی روک دو ‘‘ ہم لوگ اس وقت فیض آباد کے قریب پہنچ چکے تھے‘ فیض آباد کا پل ابھی نہیں بنا تھا اور راول ڈیم چوک سے لے کر فیض آباد تک ویرانہ ہوتا تھا‘ میں نے گھبرا کر سیکریٹری صاحب کی طرف دیکھا‘ وہ بھی انتہائی پریشان تھے‘ ہم پروٹوکول کے ضابطوں کے مطابق وزیراعظم کی گاڑی راستے میں نہیں روک سکتے تھے چنانچہ میں گاڑی چلاتا رہا‘ میاں صاحب نے مجھے دوسری بار سخت لہجے میں حکم دیا’’ گاڑی روکو‘‘ میں نے سعید مہدی کی طرف دیکھا‘ ان کے چہرے پر سکون اور اعتماد تھا‘ وہ ذہنی طور پر ہر قسم کے حالات کا سامنا کرنے کے لیے تیار تھے‘

میں نے گاڑی روک دی‘ ہمارے رکتے ہی پروٹوکول اور سیکیورٹی کی تمام گاڑیاں رک گئیں‘ کمانڈوز نے نیچے کود کر پوزیشن سنبھال لی


میاں صاحب گاڑی سے اترے اور سڑک سے نیچے اتر گئے‘ سامنے جھاڑیاں تھیں‘ وہ جھاڑیوں میں چلے گئے‘ ہم خوف اور پریشانی کے عالم میں انھیں دیکھنے لگے‘ وہ جھاڑیوں میں کیکر کے ایک درخت کے قریب رکے‘ کانوں تک ہاتھ اٹھائے اور نماز شروع کر دی‘ وہ ننگی زمین پر رکوع بھی کر رہے تھے اور سجدے بھی اور ہم لوگ انھیں بلندی سے دیکھ رہے تھے‘ ہم میں سے کسی میں نیچے اترنے کی ہمت نہیں تھی‘ وزیراعظم نے دو نفل پڑھے‘ دعا کی اور واپس آ گئے‘ ان کے کپڑے اور جوتے گندے ہو چکے تھے‘ ہمارا قافلہ چل پڑا‘ گاڑی میں مکمل خاموشی تھی‘ سیکریٹری صاحب نے ذرا سی ہمت کی اور گیلے ٹشوز کا ڈبہ ان کی طرف بڑھا دیا‘

میاں صاحب نے ایک ٹشو اٹھایا اور سعید مہدی سے مخاطب ہوئے ’’ مہدی صاحب میں معافی چاہتا ہوں‘ میں غصے میں بڑا بول بول گیا تھا‘ آپ کی بات درست تھی ہم انسان کسی کو کچھ نہیں دے سکتے‘ ہم صرف وسیلہ بنتے ہیں‘ مجھے محسوس ہوا میں تکبر میں آ گیا ہوں چنانچہ میں نے فوراً توبہ کے دو نفل ادا کیے‘ آپ بھی مجھے معاف کر دیں‘‘۔

یہ سن کر سعید مہدی کی آنکھوں میں آنسو آ گئے‘ انھوں نے ٹشو اٹھا کر آنکھوں پر رکھ لیا‘ میاں صاحب ائیر پورٹ پر اترے‘ جہاز پر بیٹھے اور لاہور روانہ ہو گئے لیکن یہ واقعہ ہمیشہ ہمیشہ کے لیے میرے ذہن میں نقش ہو گیا۔

جاوید چوہدری "

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Nawaz Sharif In Urdu 

25 December 1949 lahore mein paid hoye. App nay ibtadai taleem Saint Anthony High School Lahore say hasil kiya aur Government Colleague Lahore say graduation kiya. Iss kay alawa app nay Punjab University say LLB ki Degree bhi hasil ki.Taleem say farig honay kay baad khandan kay degar naujawano ki tara app bhi khandani karobar say munsaliq ho gaye aur mutadid company kay managing director aur director rahay. Iss dauran apnay walid Main Mohammad Sharif kay zeer-e-saya “Itafaq Islamic Academy” kay naam say talemi adara qaim kiya iss kay sath sath is kay sarbarah Dr Tahir ul Qadri ko muqarrar kiya. Iss kay alawa “Ittafaq Hospital” kay naam say aik hospital bhi qaim kiya. Iss kay alawa app nay amali saisat mein bhi hissa liya. Khuch arsay baad Nawaz Sharif Punjab kay sobai council ka hissa rehnay kay baad 1981 mein Punjab kid sobia kabina mein bator wazeer-e-khazana huya

Nawaz Sharif Daur Hukumat

1985 kay amm intaykahbat (General election) mein Mian Nawaz Sharif qaumi aur subai assembly ki seaton pay bhari aksaryat say kamyab huye. 19 April 1985 ko Nawaz Sharif nay Panjab kay wazir-e-alla ki hasyat say halaf uthaya. 31 May 1988 ko General Zaiaul Haque ki taraf say subai assembly ki barkhs tagi kay bad Mian Nawaz Sharif ko Punjab ka nigran Wazir aala namzad keya geya Janab Nawaz Sharif 1988 kay intaykahbat mein dobarah wazeer-e-Alla muntakhib huye unki iss muddat mein Mari aur Kahota mein zabardast taraqi hui. Iss kay sath sath Mohtarma Benazir bhutto ki hukumat kay sath sath unki ikhtilafat bhi chalti rahi unhon nay Mohtarmah Benazir bhutto kay khaylaf tahrek adam ataymad mein barh carh kar hissa leya lakin kamyabi hasil na kar sakay. Markaz aur suba Punjab kay darmyan kashidgi ki fiza baqarar rahi ta waqat kay 6 August 1990 kay roze Sadar Ghulam Ishhaq Khan nay Benazir Buttu kid hukumat khatam kar deya.

24 October 1990 ko honay walay intakhabat say qabal Awami National party, Pakistan Muslim league, Jamiat Ulema Islam aur sabiq COP mein intaykhabi mohayda tay paya aur un jamaton nay milkar IJI kay baynar talay intakhabat mein hissa leya. Iss ithad nay intaykhabat mein numayan aksaryat say kamyabi hasil ki aur 1 November 1990 kay roze Nawaz Sharif ko palimony leader chun leya geya. 6 November 1990 ko Nawaz Sharif nay Wazeer-e-Azam ki haisiyat say halaf uthaya. App nay pehlay daur hukumat mein kaye aham aqdamat keye lakin iskay sath sath people's party kay sath sath kashedgi ka silsila jari raha. Mulk ki saisi surathal tahal puri tarah bahal nahein hui thi iss par hukumat aur aik bari siasi jamat ki mahaz arai nay jalti par tail ka kaam keya. Benazir Bhutto ki tarah Nawaz Sharif bhi 5 (panch) saal puray nahi kar sakay aur President Ghulam Ishaq Khan nay unki hukumat ko bhi taqriban unhi ilzamat kay taihat rukhsat kar deya jo pehlay Benazir Bhutto ki hukumat per lagaya gaya thay. Agar chay mulk ki Adalat-e-Uzma nay aik ayni muqadmay kay baad unhain dobarah un kay uhday pay bahal to kar deya lakin phir bhi July 1993 mein Sadar Ghulam Ishaq Khan kay sath Mian Nawaz Sharif ko bhi apnay uhday say istayfa dayna para

Nawaz Sharif Aur Mulki Sanat 

Nawaz Sharif kay dour mein niji shobay kay tawun say mulki sanat ko mazbot bananay ki koshish ki gayein. Ghazi Barotha aur Gwadar bandergha jaisay mansubay shuru keye gaye. Sindh kay bay zameen hariyon mein zameen taqseem ki gaien. Wasti Asia Muslim mumalik say taluqat mustahkam keye gaye. Iqtaysadi tawun ki tanzeem ko taraqqi de gai. Afghanistan kay bohran ko hal karanay mein madad die gai. Mulk ki nigran wazarat-e-Uzma pahlay Balakh sher Mazari aur phir Moin Qureshi ko mili aik bar phir intakhabat huye. Iss martabah People party ko kamyabi hasil hui. Benazir bhutto palimaney leader aur nai Wazir-e-Azam bani. Unkay daur-e- hukumat mein Nawaz Sharif datkar unki mukhalfat kartay rahay. Nawaz Sharif nay 2 June 1993 ko qaumi assembly mein Mehran bank scandal mein Sadar Pakistan kay maluwis honay kay sabot faraham keye.

12 June 1994 ko bujat par bahas kartay huyae kaha kay bajat masakh shudah haqayaq ka majmua hay 20 July ko aik baray jalsa e amm say khaytab kartay huay kaha kay ajj mulk ko tornay walon ki aulad aqtaydar mein hay. Mujhay aqtaydar milay na milay unhain jana hoga unhon nay Benazir hukumat kay khatmah kay leyeh tahryk najat ka alan keyah 4 November 1994 ko parlimant kay mushtarkah ijlas mein apozishan ki janib say zabardast ahtayjaj hua aur sadar kay khaytab ka mokammal tour par batkat keya geya. 5 November 1996 ko sadar Farooq Ahmad Khan Leghri nay Benazir hukumat ka khatma kar deya aur February 1997 mein election kar waye un election mein Mian Nawaz Sharif ko zabardast kamyabi huie aur woh dobarah wazir-e-azam bangaye 1970 kay intakhabat kay baad mulki ki tareekh mein pahli martabah koi wazir-e- azam atna bhari mended lay kar aqtaydar mein aya

Qarz Utaro Mulk Sanwaro Scheme

Iss matabah wazir-e-azam bantay hi Nawaz Sharif nay athwein tarmem ka khatma kar deya jis kay tayhat koi sadar hukumat ko khatam kar nay ka akhtayar rakhta tha. Mulki satah par unhon nay “Qarz utaro, mulk sanwaro” ki iskeem kay tayhat awam say paisay lay kar mulki qarzay utarnay ki mohim shuru ki jo agarchay kamyabi say hamkinar na hosaki lakin awami yaqjehti ka aik mazhar ban kar samnay aye. Nawaz Sharif dour mein bhi establishment kay sath Nawaz Sharif ki khan cha tani ka silsila jari raha pehlay chief justice supreme court Sajjad Ali Shah say Mian Nawaz Sharif kay akhtalafat huye jis mein unhain kafi kamyabi rahi, iskay baad fouj kay sar barah General Jahangir karamat ko unhon nay rukhsat keya. Inn kamyabiyon nay unkay ataymad ko barah deya aur unhon nay Pak fouj kay dosray sarbarah General Pervaiz Musharraf ko bhi chand ikhtilafat ki bina par bar taraf kar na chaha lakin iss martaba unhain kamyabi hasil na hosaki. General Pervaiz Musharraf ki sarbarahi mein unkay khaylaf fouji bagawat huie aur fouj ka kirdar qaumi sayasat mein kam kar nay ki yeh dyanat daranah koshish unkay leyeh afat ban gaie.

12 October 1999 ko Fouj ki taraf say Nawaz hukumat khatam honay kay bad Nawaz Sharif par moqadma chala jo “tayara shazish case” kay nam say mashoor huya. Iss mein agwa aur aqdam-e-qatal kay ilzamat shamil thay. Pervez Musharraf kay sath aik khufia mohaiday kay baad Nawaz Sharif Saudi Arab chlay gaye. Aik arsa tak Nawaz sharif Jaddah mein moqem rahay iss kay bad mulk mein jamhuryat ki bahali kay leye unhon nay Mohtarma Benazir Bhutto kay sath milkar koshishon ka agaz keyah aur meshaq jamhuryat ki shakal mein aik tarykhi dasta wyz samnay layeh.

Sharif Khandan Ki Wapsi

23 August 2007 ko adalat nay Sharif khandan ki darkhast par fayslah sunatay huay unki watan wapsi par hukumty aytayrazat rad kartay huyae puray khandan ko watan wapsi ki ayjazat daydi iss say pahlay Nawaz sharif ki watan wapsi ki aik koshish nakamy say hamkinar hochuki thie bahar hal iss martabah unhain apnay maqsad mein kamyabi hasil huie aur 25 November 2007 ko woh apnay khandan kay himrah Lahore pahonch gayae. Benazir bhutto ki shahadat kay bad honay walay 18 February 2008 kay intaykahbat mein Nawaz Sharif ki Muslim league nay bhar pur hissah leya aur Pakistan People party kay bad dusri jamat banker samnay aye. Nawaz Sharif nay un intaykahbat mein bazat e khud hissah nahi leya magar aik aham quait kay tour par seyasi manzer namay par moujud rahay. wukla tehreek kay daouran mazole Chief justice Iftekhar Muhammad Chaudhry ki bahali kay leye Nawaz Sharif nay bhar pur balkay kalidi kirdar ada keya iss kay alawa NRO jaisay badnam zamana qanun ko parliament say manzoor nahi karwanay kay silsilay mein bhi Mian Sahab ka kirdar sab say zayadah ahmeyat kay hamil raha.

Pakistani Siasat Aur Nawaz Sharif

Nawaz Sharif aik saisatdan hi nahein balkay iss say hat kar bhi aik saksiyat rakhtay hain. App ki raham dili aur darya dili apni aik shorat rakhti hai. khalon mein unhain cricket say lagaou hai. App khus-e-akhlaq bhi hain aur buchpan mein mashjid mein Naat Qiraat keya kartay thay. Iss waqt woh go mulk ki sarbarahi kay uhday par fayz nahin lakin agar ahmyat kay aitabar say daikha jaye to Nawaz Shareef ko Pakistani sayasat ki sab say aham saksiyat qarar deya jasakta hai. Mukhtalif mawaqay par honay walay sarway kay mutabiq who iss waqt Pakistan kay sab say baray maqbool leader hain. Mulk ki siasat kay haliya utar charaho aur unkay aqdamat ko daykha jaye to kaha jasakta hai kay inki maqbolyat anay walay aik taweel arsay tak barqarar rahay gi.

---------------------------------------------------------------------------------------------------------

Benazir Bhutto Biography

in Urdu

Shaheed Benazir Bhutto ko Pakistani siasat mein bohot say log inko mutanaza Shakhsiat samaghtay rahay aur kuch log to inhain “security risk” qarar datay rahay aur bohot say log aisay bhi hain jo inn ko Pakistan ki falah-o-baqa Benazir ki qayadat mein nazar arahi thein aur Pakistan kay charon subon ko Muttahid rakhnay wali zanzeer thien. Lakin ye aik haqiqat hai kay Pakistani balkay Islami Mulkon ki siasat mein jo naam aur muqaam Benazir Bhutu nay Hasil kia, woh kisi aur khatoon kay hisay mein nahi aya. Benazir Bhutto woh wahid khatoon hain jinhoon nay jadeed tarekh mein bazariya intakhabaat kisi Islami Mulk ki sarbarh-e-mumlikat honay ka azaaz hasil kia. Awam nay inpar do martaba aitamad kartay hoye inhain muntakhab kia.

Benazir Bhutto, Pakistan ki pehli Khatoon

Wazeer-e-Azam

Benazir Bhutto, Pakistan kay pehli muntakhab Wazeer-e-Azam Zulfiqar Ali Bhutto ki sab say bari bati thien, 21 June 1953 ko karachi mein paida hoye. Ibtadaye taleem inhoon nay Lady Jennings Nursery School aur Karachi kay Jesus and Mary Convent mein hasil ki. 10 saal ki umar mein Mari kay Jesus and Mary Convent mein bheg dia gaya aur iss kay char saal baad America ki Harvard University mein. 1973 mein Harvard University say graduation karnay kay baad inhoon nay Oxford University mein dakhla lia wahaan say philosophy, Economics, Politics mein graduation ki. Benazir Bhutto nay doraan-e-taleem Oxford Union kay intakhabaat mein hissa liya aur union ki president muntakhab hoyein. Apni Post graduate studies mukammal karnay kay baad 1977 mein watan wapas laut ayein.

Zia ul Haq Martial Law

5th July 1977 ko Zia ul Haq nay Pakistan mein Martial law lagadia jis ki waja say Zulfiqar Ali Butto ko takhtadar ka moun dakhna para aur Benazir Bhutto ko harasat mein lalia gaya. 1979 say 1984 tak ka arsa Benazir Bhutto nay mukhtalif jaloon mein qeaid-o-band ki sobatain jhaltay mukhtalif muqamaat per nazar band rehkar guzara. Iss doraan inhun nay 10 mah ki qeaid-e-tanhaye bhe kati. 1984 mein reha honay kay baad woh khud sakhta jila watni kay tehat 2 saal kay lia England chali gayein. August 1985 mein woh apnay bhi shanawaz Bhutto ki tadfeen kay lia watan lotein jissay France kay sahar canes mein zahar day kar halaq kardia gaya tha. Iss kay aik saal kay baad Martial law hatalia janay par Benazir Bhutto mustaqil tore par Pakistan agayein. 10 April 1986 ko inki wapsi per Lahore Airport par lakhon logo nay unka isstaqbal kiya wapsi kay baad unhoon nay poray Pakistan mein raliyaan munaqid ki aur Pakistan People’s Party ko aik baar phir zinda kardia. 18 December 1987 ko inn ki shadi Asif Ali Zardari say hoye. Shadi kay baad bhi Benazer, Benazir Bhutto kehlati rahein.

Benazir Bhutto Daur Hukumat

17 August 1988 General Zia ul Haq ki hadsati maut kay baad munaqid honay wali 1988 kay intekhabaat mein Pakistan People’s Party nay numaya kamyabi hasil ki aur 34 saal ki umar mein Benazir Bhutto Pakistan ki tareekh ki kam umar tareen Wazeer-e-Azam ban gayein.

2 December 1988 ko Benazir Bhutto Pakistan ki pehli khatoon Wazeer-e-Azam ka halaf uthaya. Unhon nay apnay pehlay dora-e-hukumat mein 1989 mein Islamabad mein munaqid honay wali shark sarbarah conference ki sadarat ki, PLO kay numainday ko safeer ka derja dia, America aur Britannia kay doray kia. Bharat kay saath siyachin tanazay per muzaqrat kiye aur Pakistan ko dosry martaba dolata-e- mushtarqa ka rukun banwanay mein kamyabi hasil ki. 1 November 1989 ko Benazir kay khelaf assembly mein tehreeq-e- adam atemad pesh ki gaye jo nakaam rahi lakin 6, August 1990 ko Sadar-e-Pakistan Ghulam Ishaq Khan nay 8 wein tarmeem kay tehat apnay ikhtayarat istamal mein latay howay assemblyan tordein aur Benazir Bhutto ko uhdah Wazarat-e-Uzma say mazol kardia. 3 September, 1990 ko Benazir Bhutto aur unkay 10 wazra kay khelaf references pesh kiye gaye aur in kay sohar Ali Zardari Per kaye muqadmat qayem kar kay inhein jail bhaj dia gaya.

1990 kay intekhabat mein IJI nay akasariyat hasil ki aur Nawaz Sharif Wazeer-e-Azam Pakistan banay. Benazir nay Parliament mein Opposition leader ka uhda sambhala. 18 March 1993 ko mulki halaat kay pesh nazar Nawaz Sharif nay apnay sathiyon samat wazarat-e-Uzma say istafa day dia aur Sadar Ghulam Ishaq Khan nay assembly tehleel kardi. October 1993 mein honay walay intaykhabat mein Benazir bhutto ki party nay aik dafa phir aksaryat hasil kar li aur Benazir bhutto dusri martaba Pakistan ki Wazir-e-Azam kay tour per samnay aiyeine.

Shaheed Benazir Bhutto kay pahlay dour-e- hukumat ki tarah un ka dosra daur-e-hukumat bhi saisi adam itmenan aur tanazat say bhar pur tha. Agar chay kai shobah jaat mein bhetari bhi nazar aie maslan America ki taraf say Pakistan ko blake list say kharij kar diya gaya, Pakistan aur Hong Kong kay darmiyan shoba-e-tawanaie mein duniya kay sab say baray mohaiday per dastkhat huye jis ki maliyat sarhay sath arab dollar the aur France ki taraf say atomi bigly ghar farham karnay ka wada kya gaya. Inn sab kay bawajud halat ki kashidgi barqarar rahi aur yeh kashedgi us waqt uroj per pahonch gaie jab Benazir kay chotay bhai Mir Murtaza Bhutto ko unki apni bahan kay ahde hukumat mein aik intahaye masqooq police maqblay mein sath sathiyon samat halaq kardia gaya. Murtaza Bhutto ki halaqat ko sarkari qatal qarar deya geya aur Asif Ali Zardari ko iska zemma dar tehraya gaya.

5 November 1996 mein Sadar Farooq Ahmed Leghari nay mukhtalif ilzamat kay tayhat Benazir Bhutto ko unkay uhday say mazol kar deya aur assemblyan tor dein. 1997 kay intikhabat mein people’s party hayrat angaiz tour per nakam rahi aur qaumi assembly mein sirf 18 nisahshtain hasil kar sakein. Benazir Bhutto per mukhtalif moqadmat qaym kar kay adalti karwai ki gae laykin issi dauran woh mulk say bahar chali gayein aur khud sakhtah jila watni ikhtyar kar li. Moqadmat chaltay rahay aur Asif Ali Zardari ko 8 sal say zaid arsay ki qeid bhugatni pari. Yeh baat qabile zikar hai kay iss dauran unpar Pakistani adalton mein koi ilzam sabit na ho saka.

Benazir Bhutto Aur “Meesaq-e- Jamhurait”

Nawaz sharif jab Pervez Musharraf ki “karwai” kay shikar hokar jila watan honay per majbor huye to iss tajurbay nay unhain aur Benazir bhutto ko bhi bahot kuch sochnay par majbur kar deya. Mulk mein ayenda jamhuriyat ko farog daynay kay leye unhon nay apas mein mulaqaton ka aik silsila shuru keya jo ARD kay qayam par muntahij huwa. ARD nay General Pervez Musharraf ki hukumat kay khelaf bhar pur mazahmat ka alan keya. Iss daur ki sab say aham paish raft iss waqt hui. Jab 14 May 2006 mein London mein Nawaz sharif aur Benazir kay darmayan “meesaq-e- jamhurait” par dastakhat huya Jis kay tayhat donon nay jamhuryat ko bahal karnay aur aik dosray kay khaylaf istaymal na honay ka faisla keya.


Dosri pesh qadmi iss waqt huie jab 28 July 2007 ko Abu Dhabi mein General Pervez Musharaf aur Benazir Bhutto kay darmeyan aik aham mulaqat huie jis kay baad people’s party ki chairperson taqriban sarah 8 saal ki jila watni khatam kar kay 18 October 2007 ko watan wapis ayein to unka Karachi Airport par faqedul misal istaqbal keya gaya. Benazir Bhutto ka karwan Shara-e-faisal par Mazar Quaid ki janib barh raha tha kay achanak zordar dhamakay huye. Inn dhamakon mein paunay do sau kay lag bhag afrad jan bahaq huye aur sankron zakhmi hoye. Qiamat e sughra kay iss manzar kay dauran Benazir Bhutto ko bahefazat Bilawal house paucha deya gaya people’s party ki chairperson jab apnay bachchon (Bilawal, Bakhtawar aur Asifa ) say milnay
.

Dobarah.Dubai gayein to mulk kay andar General Parvez Musharraf nay 3 November ko emergency nafiz kar di. Yeh khabar suntay hi Benazir Dubai say wapis watan lout ayein. Emergency kay khatmay,TV channels say pabandi hatanay aur Supreme Court kay jujus ki bahali ka motalba kartay huye hukumat kay khaylaf tahrek chalanay ka alan keya. Us waqt tak mulk mein nigran hukumat ban chki thie aur mukhtalif parteyan intakhabat mein hissah lanay kay mamlay mein bati huye nazar arahi thein. Iss surat hal mein people’s party nay maidan khali na chornay ki hikmat amli kay tayhat tamam halqon mein umedwar kharay keye aur kaghzat-e-namzadgi jama karay. Agar chay ARD kay faislay kay tahat Nawaz Sharif nay bhi intekhabat mein hissah na lanay ka faisla keya tha lakin Benazir Bhutto nay unhain qayel keya kay herkaron ko khuli chott na de jaye aur halat khwa kaisay bhi hon, intekhabat mein hissah zarur leya jaye.

Benazir Bhutto Death

Intekhabat mein chalaie janay wali mohim kay dauran 27 December 2007 ko Benazir Bhutto Liaqat bagh Rawalpindi say aik jalsay amm say khitab kar kay bahar nikal rahi thein kay unki gari par fairing huie aur uskay sath hi aik falak sagaf dhamaka hua. Benazir Bhutto jo us waqt awam kay purjosh naron ka jawab daynay kay leye gari kay hawadan say bahar nikli khari thien, buri tarha zakhmi huien aur thori hi dair mein khaliq-e-haqiqi say jamilien. Shaheed Benazir Bhutto kay saisi carrier mein kamyabiyan aur na kamiyan khch iss tarah apas mein guthi huein hain kay unhain yeksar kamyab ya nakam qarar dayna taqreban na mumkin hai. Yeh albath aik haqiqat hai kay Pakistani saiasat mein un jaysi khatoon saiasatdan aj tak nahin aiyein aur na shayed ayinda aa sakay unkay walid ki tarah unki shakhsiyat bhi shahadat kay baad bhi Pakistan ki siasat o tareekh ko motasir kar rahi hai aur anay walay waqt mein bhi karti rahay gi.

  ==============================================

Biography of Altaf Hussain In Urdu 

Pakistan mein awami saisat ko aik naya rukh aur naya cheyhrah danay walay Muttahida Qaumi Movement kay bani aur Quaid Janab Altaf Hussain 17 September 1953 ko Karachi mein aik ghareb gharanay mein paida huye. Unkay walid Nazeer Hussain aur walda Khursheed Begum dono ka taluq India kay sehar Aagrah kay mazhabi gharano say tha. Altaf Hussain kay dada Maulana Mufti Ramzan Hussain Aagrah UP kay Mufti aur Jaiyad Alam-a-deen thay. Unkay nana Haji Hafiz Reheem Bhux deeni aur adabi hawalay say sehar kay moaziz aur qabilay ahtaram hashti thay. Altaf Hussain kay walid India mein station master thay. 1947 Pakistan kay azadi kay baad hijrat kar kay Pakistan agaye aur Karachi mein aik factory mein clerk moqarar huye. Janab Altaf Hussain ki family pahlay Karachi mein Jahangir Road kay sarkari coater mein rahtay thay.

13 March 1967 ko Janab Altaf Hussain ke Walid Mohtaram Nazeer Hussain ka Inteqal huwa aur walida mohtarma ka intaqal 5 December 1985 ko huwa. 1970 ki dehaye mein Altaf Hussain ki family Faderal B Area Block- 8 mein Azizabad ke aik makan mein muntaqil hogaya. 120 gaz ka ghar na sirf Altaf Hussain ki rehayish gah balkay siasi sar garmiyoon ka markaz bhi hai. Is ghar ko Pakistan ki siasat mein aik aa'la makam hasil hai jisay hurf-e-aam mein 90 kay nam say duniya janti hai.

Altaf Hussain Education

Altaf Hussain nay 1969 mein Government Boys Secondary School Jail road say Matric pass keya. 1970 mein app city college mein inter science kay talib ilm thay. General Yahya Khan ki hukumat nay lazmi fouji service ka aik mansubah national cadet service iskeem shuru kiya. Jis kay tehat har Matric pass noujawan ko aik saal tak lazmi tour par fouji khidmat anjam daina thein. Chunanchay Altaf Hussain bhi iss iskeem kay leye muntakhib huye. Ibtadai taur par tarbiat Karachi cantt say shuru ki phir Hyderabad cantt muntaqil ho gay iss dauran Mashriqi Pakistan mein jang chir gaie. Dauran jang hi national cadet service iskeem kay tamam cadetton ko 57 Baloch Regiment mein tabdel kar dia gaya phir inhein makran kay sahil par waqay bandargah sonmiani mein tarbiat di gaye. Ye tarbiyati course aik saal mein mokammal kar laynay kay baad app nay Intermediate ki sanad li. 1974 mein Janab Altaf Hussain Islamia college say BSc (pre medical group) ki digre hasil ki. jamia Karachi say B.Pharmacy kar nay kay baad M.Pharmacy mein dakhla leya lakin university chornay par majbur hogaye. Janab Altaf Hussain nay Karachi kay seven day hospital mein batour traine kam keya aur do Multinational Medicine Companies mein bhi molazmat ki.

APMSO

App ki amli siasat ka agaz jamia Karachi ( Karachi University) say batour talib ilm hua. Altaf Hussain nay Mahajir tulba ko monazzam kar kay 11 June 1978 ko APMSO All Pakistan Mahajir Student Organization ki bunyad rakhi aur iss kay bani chair man banay. Ye tulba tanzem fouran iss qadar mqbul hogai kay dusri tulba jamaton ka nishana bannay lagi. Jo iss ki maqboiyat say ahsas-e-adam tahaf fuz ka shikar ho gai thein. Yon university campus mein aaye roz tashaddud ka silsilah shuro hogaya. Altaf Hussain ko pehli bar 14, August 1979 mein griftar kar leyah gaya aur woh nou (9) mah tak qaid mein rahay. Rahai kay baad app nay mahajir tulba tanzeemo ko puray Karachi mein motariq-o- monazam kar nay ka faisala kiya aur apnay iss faisla ko amli jama pehnanay kay leyeh Altaf Hussain nay rufqaiy kar kay sath mil kar gair mamuli mahnat say 20 -20 rupay chanda lay kar tanzeem kay tarufi ketabche shuru keye. Karachi kay tamam ilaqon Korangi, Golimar, Maler, New Karachi, FB area, Nazimabad gizri kay tamam Karachi mein MQM ka tuti bolnay laga. Yon ye tanzeem baad mein bani lakin iss ko shorat pahalay mili.

Mahajir Qaumi Movement

18 March 1984 ko MQM yani Mahajir Qaumi Movement kay qayam ka ailan hua. 1984 mein iss kay tashkeeli dour mein Karachi mein lasani fsadat ka aagaz hua to MQM aik bari siasi jamat ki haisiat say samnay aie in fasadat nay Altaf Hussain ki shohrat aur badnami donon mein azafa kiya. Karachi kay fasadat kay dauran hi Altaf Hussain nay Sindh kay dusray shahron kay , jahan mahajir bakasrat abad thay wasi dauray kiye aur MQM kay leye akhlaqi hamaiat hasil ki. Iss ka natijah ye hua kay Karachi samait Sindh kay tamam Sehron mein MQM Hindustan say anay walay Mahajren ki sab say bari siasi jamat ban gai . youn iss daur say aj tak honay walay tamam intakhabat mein Karachi samait Sindh kay dusray ilaqon mein mahajir abadi walay ilaqon mein MQM hi kay umedwar kamyab hotay hain.

Sindh mein barhtay huay tashddud kay waqayat mein Fouji operation ka agaz 19, June 1992 ko hua. MQM apni suhrat ki wajah say iss operation ka khasusi nishana bani. Iss daur mein MQM pur tashdud amaze siasat mein hissa lanay aur torture sell chalanay kay ilzamat lagaye gaye. Altaf Hussain aur un kay sathiyon par qatal aur dosray jaraim kay hawalay say moqadmat qaim keye gaye. Iss daur mein Altaf Hussain aur unkay sathiyon kay darmian akhtalafat nay janam leya aur yuon alehdah Afaq Ahmed, Amir Khan, Bader Iqbal, Mansoor Chacha nay alag hokar apni jamat MQM Haqiqi ki buniad rakhi. Amir Khan kuch arsa pehlay Altaf Hussain aur unki jamaat Muttahida Qaumi Movement say apni ghalti ki maafi mang kar Muttahida mein shamil hogaye hain.

Muttahida Qaumi Movement

Altaf Hussain nay baqi sathiyon kay mashwaray say 26 July 1997 ko MQM ka naam Mahajir Qaumi Movement say tabdil kar kay Muttahidah Qaumi Movement rakha gaya. Jis mein sirf mahajir saiasat say hat kar tamam mazloom tabqoon ko aik hi plate form par jama karnay ki baat ki gaie. Qaumo kay mustaqbil ki tameer hukumrano kay haton mein nahi balkay quaideen kay fikar aur amal par hoti hai aur Altaf Hussain ka mison Pakistan kay mazloom quaim ki tameer ka mission hai.

Altaf Hussain Aur Pakistani Siasat

Ye aik haqiqat hai kay Muttahida Qaumi Movement kay Quaid Janab Altaf Hussain nay Pakistani aqwam kay darmiyan faroye aur taa'sobi ikhtalafat ko khtam karnay ki har mumkin koshishein kein iss mein woh kafi had tak kamyab bhi hoye. Janab Altaf Hussain nay apni siasi basirat Pakistani siasi mumlat par qabo hasil karlia hai. 2002 kay intakhabat kay baad Altaf Hussain ki party Muslim league (Q) kay sath itahad keya aur hukumat mein shamil hui. youn unkay bohot say jila watan rahnuma wapis ayae Sindh kay Governor ka uhda bhi unki party MQM ko mila. Parvez Musharraf kay hamayaton mein iss jamat ka shumar hota raha aur aaj tak Altaf Hussain aur unki jamat Parvez Musharraf kay leye narm gosha rakhtay hain. 2008 kay intakhabat (Election) mein apni dairina mokhalif Pakistan Peoples Party kay sath unka itahad hua. youn Altaf Zardari bhai bahi ka nara samnay aya aaj tak MQM hukumat ka hissa hai. Altaf Hussain aaj bhi. London mein moqem hain aur wahan party kay international secretariat say party kay muamalat chala rahay hain. Altaf Hussain Pakistani siasat ki aik mottanaza shakhsiyat hain. Jin kay chahnay waly aur mokhalfeen donon ki tadad lakhon mein hain. Altaf Hussain par bohot say iazmat lagaye gai hain. Unhain dahshatgard aur qatil tak kaha gaya hai. Tamam hukumaton ki taraf say unhain aik mujrim sabit karnay ki koshish ki gaie hai. Naserullah Babar Imran Khan aur Zulfikhar Mirza jaisay logon nay Britannia jakar bhi unkay khalaf qanuni karwai kar nay ka alan kia lakin iss sab kay bawajud woh apni jagah par qaim aur mustehkam hain. Altaf Hussain ki maqbuliat mein har guzartay din kay sath azafa hi hua koi kami nahi aie aur na unkay mokhalif apnay tamam tar dawon kay bawajud unhain hilanay mein nakam rahay. Muttehida Qaumi Movement kay quaid Altaf Hussain bohot si khubiyon kay malik honay kay sath sath kuch halqoon mein muttanaza siasi shakhsiyat kay taur par bhi pehchanay jatay hain. Altaf Hussain Pakistan say bahar honay kay bawajod Pakistani siasat mein aik aham markaz ki haisiat rakhtay hain aur unki taqarer aur bayanat hamashah am-o-khas ki tawajjah hasil kartay rahay hain.

NRO

Pakistan mein NRO kay silsilay mein jo shuro galga utha woh isi waqt thamnay mein aya jab Janab Altaf Hussain nay NRO ki mokhalfat kartay huye Sadar-e-Pakistan Janab Asif Ali Zardari ko mashwarah dia kay woh doston ki baat manain aur agar Pakistan mein istehkam lanay kay silsilay mein unhain koi qurbani bhi daina paray to woh us say draig na karain. Altaf Hussain ki taraf say do tok alfaz samnay anay par aik dam sab kuch thanda par gaya aur Wazeer-e-Azam ki taraf say NRO ko manzuri kay leye parliament mein pass na kar nay ka alan kar dia gaya. Altaf Hussain ka ye musbat faisla jahan unki sakhsiyat ko mazeed mustehkam kar nay ka bais bana wahein iss say ye bhi zahir hua kay Pakistan mein na rehnay kay bawajud unki baton mein katna wazan aur ahmiyat rakhti hai.

=================================================

Imran Khan Biography In Urdu 

Imran Khan Niazi: Pakistan kay azeem tareen cricketer meim shamil tarekh kay azeem tareen all rounder mein say aik mashour samaji karkun aur mojoudah siasatdan ka pura naam Imran Ahmed Khan Niazi hai. App 25, November 1952 mein Lahore mein Ikramulla Khan Niazi kay ghar paida huye.

Duniya kay azeem cricketer Pakistan team kay sabiq captain Shaukat Khanum Memorial Hospital kay bani aur tehreek-e-Insaf kay sarbarah Pakistan cricket team kay liye 1971 say 1992 tak khaltay rahay. App nay ibtedai taleem Lahore mein Cathedral School Lahore aur Achison College Lahore say hasil ki. Iss kay baad alla taleem kay liye Britannia chale gaye wahan Royal Grammar School mein parha aur phir oxford university say BA owners kiya app nay 1974 mein oxford university cricket team kay captain bhi rahay.

App nay first class cricket ka agaz 1969 say Lahore ki taraf say Sargodha kay khilaf kheltay huye kiya 1971 mein England kay khilaf phela test match khalay 21 sal per muhet apney carrier kay doran app nay 88 test matches khal kar 362 wickets 22.81 ki osat say hasil kiye app nay 1981 -1982 mein Lahore mein sri Lanka kay 8 khalari sirf 58 runs dey kar out kiye aur 23 martaba aik inning mein 5 wickets hasil kiye app nay 36.69 ki osat say 3807 runs banaye jin mein say 5 centuries bhi shamil hain. App ka ziada say ziada score Adelaide mein 1991 mein Australia kay khalaf kheltay huye 132 runs raha. Imran Khan ka shumar Pakistan cricket kay kamyab tareen caption mein hota hai. woh Pakistan kay pehlay caption thay jin ki qayadat mein pakistani team nay Bharat ko Bharat aur England ko England mein haraya in kay zare qiyadat Pakistan ki team duniya bhar mein wahid team thi jis nay West Indies ki zabardast team kay khilaf 3 test series barabar kiye iss dour mein duniya ki kisi aur team ko ye azaz hasil nahi huwa batour caption Imran Khan 48 test matches khalay jin mein say 14 jete aur 8 hare aur 26 maches drow ya bagair kisi nataij kay khatam huye.

Pakistani Cricket Team

Pakistani cricket team nay 1992 mein Imran Khan ki qayadat mein kheltay huway 5 wein cricket World Cup jeeta. Ye azaz bhi abhi tak Pakistan sirf aik dafa hi hasil karsaka. Imran Khan 175 one day machetes mein hissa liye aur 182 wickets hassil kiye app nay 3709 runs 33.41 ki osat say banaye in ka ziada say ziada scoure 102 not out tha jo inhon nay Sri Lanka kay khilaf 1983 mein banaya. Imran khan ki qayadat mein 139 one day match khalay gaye jin mein say 77 jeete 57 hare 4 be nateja rahe jab kay 1 match barabar raha.

App nay majmoye tour per world cups mein hisa liya jo kay 1975 say lay kar 1992 tak munaqad huway 1992 kay world cup ko jitney kay bad app cricket say retirement ho gaye aur samaji kamon mein hissa lena shuro kardiya app nay cancer kay marezo kay liye Asia ka sub say bara hospital Shukat khanam Memorial Hospital Lahore aik truest kay zariye qaim kiya. Imran Khan Pakistani qaum ko iss hospital ka bani qarar detay hain. Inhein hukumat Pakistan ki janib say sadarti award bhi mila alawa woh aza 1992 mein insani huqoq ka Asia award aur hilal-i-imtiaz 1992 mein ata huye. App bread ford university Britannia kay Chancellor kay tour per bhi khidmat anjam dey rahe hain.

Imran khan nay sirf cricket kay maidan apni suhlahiyat ka loha manwa chuke the bal kay medan say bahir bhi in ki shaksiyat mutasir kun thi kabhi inhe play boy say pukara jata to kabhi bara sanjeeda samaji karkun kay nam say ubhre inhein aik Australian news peper Oz nay sal kay sub say pur kashish mard ka khatab bhi diya in per ilzam hai kay woh lord godrey white ki beti seeta white ki beti kay walid hai jab kay Imran Khan hamesha say iss ilzam ki tarwed karte aye hain. 1995 mein Imran Khanne marhum bartanvi arab pati sarjims goldsmith ki beti jemama goldsmith say shadi ki jemama smith nay shadi say phelay Islam qaboul karliya tha in ka Islamic name jemama khan hai. Iss shadi ka shurat puri duniya mein huwa international media nay iss ko khusosi ahmiyat di 22 June 2004 ko iss jore mein talaq ho gayi. Imran Khan ka kehna tha kay woh apni masrof zindagi ki wajah say inhein waqt nahi dey patey thay.

App nay 25 April 1996 ko tehreek-e-Insaf qayam kar kay siasat maidan mein qadam rakha. Ibtedai tour per inhain kamiyabi na mil saki lakin haliya dino mein woh apni jado jehad aur usool parsadi ki badolat Pakistani awam khusosan noujawano mein taezi say maqboliyat hassil kar rahey hain. 1997 kay intakhabat mein in ki jamat koi seat hassil na kar saki ta hum 2002 kay intakhabat mein inhein aik seat hasil hoi. 2008 kay intakhabat mein in ki jamat nay Pervaiz Mushrraf ki zere nigrani munaqad honey wale intekhabat mein hissa layne say asoli bunyado per inkar kardiya.

3 November 2007

3 November 2007 ko Pervez Musharraf kay emergence kay nafaz kay alan kay baad app ko Nazar band karne ki koshish ki gai ta hum app police ko jul dey kar farar hone mein kamiyab hogaye. 14 November ko police nay inhein giraftar karliya. Iss say phele woh 12 May ko Chief Justice of Pakistan Justice Muhammad Iftikhar Chaudhry ki really per Karachi mein hone wali fairing aur iss nateje mein hone wali halakato ka ilzam Muttahida Qaumi Movement per laga chukey thay.

Imran khan nay kaha kay in ki zindagi aur Karachi mein tehrek-e-Insaf kay karkun ki zindagi khatra lahaq hai khun kay Britannia hukumat nay Muttahida Qaumi Movement kay London mein muqeem quaid Altaf Hussain kay khalaf qadam nahi uthaya jis say ye log shair ho kar tashadut ki karwai kar saktey hain. Duniya bhar kay akhbarat nay Imran Khan ki Pervez Musharraf kay khilaf jad-o-jehad ko saraha 18 November ko Imran Khan ney Dera Ghazi khan jail mein bhok hartal shuro kiya 22 Nov ko inhein acahanak reha kardiya gaya iss kay baad say ab tak Imran Khan apney bayanat aur Tv per diye gaye. Interview kay zariye awam ki nigha mein rahey hain ta hum mubasireen ka kehna hai kay in kay pass khatir khuwah vote bank aur street power moujud nahi aur ayinda intakhabat mein bhi in kay kamiyabi honey ka imkan kuch zada nahi hai.

Imran khan nay crickets mein qayadat jazbey aur azam ki naye mishalain qaim ki in ki hum gair aur dair pa maqboliyat iss waqt samne aiye jab cricket ki sahafat kay sub say mutabar aur sub say qadeem adare wiz Dan nay cricket ki tarekh kay sub say maqboul all round ka tayeen karney kay liye sarwe karaya aur Imran Khan ka naam sar-e- fehrist ho kar samne aya goya Ian Botham, Richard Hadlee, Kapil Dev aur Jack Kalex all rounder aaj bhi in ki maqboliyat ka muqabla nahi kar saktey sirf ye hi nahi in ki sehar ungaiz shaksiyat nay Pakistan ko cricket ka rukh hi badal diya aur in ki amad kay baad Pakistan mein fast bowler ki amad ka aisa silsila shuro huwa jo aaj tak tham ney mein nahi aya in ki azmat ka ateraf January 2009 mein ICC nay Hanif Muhammad aur Javed Miandad kay sath inhein apney pheley hall of fame mein shamil kar kay kiya dekhna ye hai kay Imran Khan siasat mein bhi aisi hi tarekh raqam kar patey hain ya nahi.

  ==================================================

Abdul Sattar Edhi In Urdu 

Abdul Sattar Edhi 1928 mein Bharat ki riyasat Gujrat kay shehar Bantawa mein paida huye. Khidmat-e-khalq kay shube mein Pakistan aur duniya ki jani mani shakhsiyat Abdul Sattar Edhi al maroof moulana Edhi Pakistan mein Edhi Foundation kay sadar hain. Edhi Foundation ki shakhein tamam duniya mein pheli hoye hai. In ki wife mohtarma Bilquis Edhi Foundation ki sarbarah hain. Dono ko 1986 mein awami khidmat kay shube mein saman maksa award say nawaza gaya.

Abdul Sattar Edhi ka walid kapray kay tajir thay aur motawasit tabqon say taluq rakhtay thay. App paidaishi leder thay aur shuro say hi apnay doston ki chote chote kamo aur khel tamashe karne per hosla afzai karte thay. Jab in kay walida inhein school jate waqt do pese dete to woh in mein say aik paisa kharch karlate the aur aik paisa kisi zarurat mand ki zarurat puri karne kay liye de detay. 11 saal ki umar mein inhone apni maa ko dekh bhal ka kaam sambhala jo shadeed qisim kay ziya diabetes mein mubtala thein. Choti umar mein hi inhon nay apnay say phelay dusron ki madad karna sikh liya tha, jo agay ki zindagi kay liye kamyabi ki kunji ban gaya.

1947 mein Taqseem-e-Hind kay baad in ka khandan Bharat say hijrat kar kay Pakistan aya aur karachi mein abad huwa. 1951 mein app nay apni jama poungi say aik choti si dokan khareedi aur issi dokan mein app nay aik doctor ki madad say choti si dispensary khuli jinhone in ko tibi imdad ki mubadiyat sikhaye. Iss kay alawa app nay yeaha apne dosto ko tadrees ki taraf bhi ragab kiya. App nay sada tarz-e-zindagi apnaya aur dispensary kay samne bench per hi so late ta kay bawaqt zarurat fouri tour per madad ko pohunch sake.

Edhi Foundation Pakistan

1957 mein Karachi mein bohot bare pemane per flow ki wabah phali jis per Edhi sahab nay fouri tour per rade ammal kiya. inhone nay shehar kay nowah mein khemey lagwaye aur muft madafati adwaiyat farham kein. Mukhiyair hazrat nay in ki dil khul kar madad ki aur in kay kamo ko dekhte huwe baqi Pakistan nay bhi imdadadi raqam say inhone woh puri imarat kharedli jaha dispensary thein aur waha aik zachgi kay liye center aur nurseon ki tarbiyat kay liye school khula aur ye hi Edhi Foundation ka aghaz tha. Anay wale salao mein Edhi Foundation Pakistan kay baqi elaqo tak bhi phelti gai flu ki waba kay baad aik karobari shaksiyat nay Edhi ko kafi bari raqam ki imdad di jis say inhone aik ambulance khareedi jis ko woh khud chalate thay. Ajj Edhi foundation kay pass 600 say zada ambulance hain jo mulk kay tool o arz mein pheli hoi hain.

Karachi aur undorene Sindh kay liye woh khud rawana hote hain aur Edhi foundation ki hadsat per rade ammal ki raftar aur khidmat municipal ki khidmaat ziada taiz behtar hain. Hospital aur ambulance khidmaat kay alawa Edhi foundation nay clinic zachgi ghar pagal khana mazoro kay liye ghar blood bank yateem khane lawaris bacho ko goud lene kay marakaz panha hain aur school khule hai is kay elawa ye foundation nursing aur ghardari kay cource bhi karwati hain... Edhi marakazi aik khasiyat ye bhi hai kay Edhi marakz kay bahir bacha gari ka ahtemam hai ta kay khawateen bache ki dekh bhal nahi kar sakti apne bache ko yeaha chor kar ja sake is bache ko Edhi foundation apne yateem khane mein panha deti hai aur isko muft taleem di jati hai.

Edhi International Ambulance ka qiyam

Foundation nay sirf Pakistan mein hi nahi bal kay bain ul aqwami satah per bhi turraki ki hai. Islami duniya mein Edhi foundation har musibat aur mushkil waqt mein aham imadad farham karti hai. Jahaan imada aur nigrani Edhi bazat khud mutasira mumalik mein jakar kartay hain. Pakistan kay elawa foundation jin mumalik mein kam kar rahi hai in mein say chand naam Afghanistan,Iraq, Chechnya, Bosnia, Sudan, Ethiopia aur qudrati afaat sonami say mutasira mumalik kay hain.16 August 2006 ko Bilquis Edhi aur kubra Edhi ki janib say Edhi international ambulance kay qayam kiya gaya jis kay tehat duniya kay ameer gareeb ho ya diniya ka koi bhi mulk America,Uk, Israel, Shaam, Iran Bharat, Bangladesh hon, mein ye ambulance batour atiya di jarahi hain aur inhein hidiyat ki gaye hai kay woh ye ambulances ko 5 saal tak istemal karne kay baad frokht kar kay iss ki raqam kherati kaamo mein istemal karein.

Begum Bilquis Edhi aur Kubra Edhi nay is mouqe per kaha kay woh duniya ka ameer ya ghareeb mulk ho wahaan mareez mareez hi hota hai. ambulance ka maqsad insano ki jane bachana hota hai aur humay iss baat ki khushi ho gi kay Edhi International Ambulance Foundation ki ambulances duniya bhar mein insano ki janein bachayein khwa woh London, New York , Tokyo, Tilabib, Beirut aur Damishq hoon. inhon nay kaha kay insaniyat ki ban ul aqwami khidmat kay hawale say hamara aik qadam aur age bhar raha hai. Ajj Pakistan kay alawa Islami duniya mein bhi Edhi nay aik ghar khudgharz aur muhtarma shaks kay tour sherat pai hai shurat aur izat kay bawud inhone apni sada zindagi ko tarak nahi kiya woh sada rawati Pakistani libas pehante hain jo sirf aik ya do din in ki mumlikat hai iske alawa in ki malkiyat khele joto ka aik jora hai jis ko woh sabqa 20 sal say istemal kar rahe hain Aur ye bhi haqiqat hai kay Edhi foundation ka begat aik caror ka hai jis mein say woh apni zat per aik paisa bhi kharch nahi karte.

Edhi Foundation Ambulance Service

App kay beta Faisal batate hai jab Afghanistan mein markaz ka iftetah kiya ja raha tha to amla mehmano aur sahafiuo kay bethne kay liye kursiya kharedli jab Edhi wahan aye to woh is baat say sakht khafa huwe khun kay in kay khayal mein ye raqam kisi zarurat mand ki madad per kharch ki ja sakti thi. Iss raat clinic kay farash per ambulance kay drivers kay sath soye. Ajj Edhi foundation taraqi ki rah per gamazan hai. Edhi mustaqbil ki taraf dekhte huwe kahte hain, woh Pakistan kay har alaqay mein per hospital tameer karna chahte hain. Agar cheh in ko ahteram kay tour per moulana ka laqab diya gaya hai lakin woh zati tour per is ko pasand nahi kartay. Inhone kabhi kisi mazhabi school mein taleem hasil nahi ki. Woh apne app ko doctor kehalwana pasand kartay hain. khun kay insaniyat ki khidmaat per Pakistan mein Institute of Business Administration say doctorate ki azarai digri di gai hai.

Genis Book of world Record

Woh iss baat ko bhi sakht napasand karte hain jab log in ki ya in kay kam ki taref kartey hain. Woh hukumat ya sabqa mazhabi jamaton say imdad bhi nahi latay khun kay woh samjhte hain kay in ki imdad mashrot hoti hai. General zia ul huq aur atalvi hukumat ki imdad inhone issi khayal say wapas kardi thi. 1996 mein in ki khudnost sawane hayat “khuli kitab” shaya hoi 1997 ki Genis Book of world Record kay mutabiq Edhi foundation ki ambulance service duniya ki sub say bari falahi ambulance service hai. Edhi bazat khud bagair choti kiye taweel tareen arse tak kam karne kay alami record kay hamil hain aur record bane kay baad bhi abhi tak inhone nay chutti nahi li.

1988 mein inhe lenun aman inam mila. 1992 mein Pal Hires Rotary International foundation ka felo banaya gaya 2000 mein insaniyat, aman aur bhai charay ka International Balzan Prize mila aur 2005 mein almi Meman tanzeem ki taraf say life time achievement ka azaz diya gaya.